Текст песни Anandmurti Gurumaa - Zarreh-zarreh Mein Hai Jhanki Bhagwaan Ki

Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki
Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki

Naamdev ne pakaayi, roti kutte ne utthayi/uthayi
Piche ghee ka katora liye jaa rahe
Bole rukhi to na khao, thodha ghee to lagaao
Bole rukhi to na khao, thodha ghee to lagaao
Roop apna kyon mujhse chupa rahe
Tera mera ik roop, phir kaahe ko huzur
Toone shakal banaayi hai suaan ki
Mujhe odhni di insaan ki

Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki
Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki

Nigah meera ki nirali, peeke zehar pyaali
Aisa girdhar basaya har shvaas mein
Aaya jab kala naag, boli mere dhanya bhaag
Prabhu aaye aaj saamp ke libaas mein
Aao-aao balihaar, kaale krishan muraar
Aao-aao balihaar, kaale krishan muraar
Badi kirpa hai kirpa-nidhaan ki
Mein ehsaanani hoon tere ehsaan ki

Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki
Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki

Noor uska nirala, kiya dil mein ujala
Aisa gyaan ka deepak jalaa liya
Nazdik aur door, dikhe hajar-hazoor
Nazdik aur door, dikhe hajar-hazoor
Dekhi jhoom-jhoom jhankiyan bhagwaan ki
Chooka janam ka pher, toota bandhan ka pher
Chooka janam ka pher, toota bandhan ka pher
Badi kirpa hai satgur mahaan ki
Mein ehsaanani hoon tere ehsaan ki

Zarreh-zarreh mein hai jhanki bhagwaan ki
Kisi soojh wali ankh ne pehchaan ki


Добавить комментарий

Автору будет очень приятно узнать обратную связь о своей новости.

Комментариев 0